banner



How To Create A Blog In Hindi Language

Agar aap Hindi me blog banane ja rahe hai to aapke mind me bhi ye question jarur aai hogi ki Hindi ya Hinglish kis language me blog start kare ? Aaj hum isi topic me aapko batane ja rahe hai ki Hindi or Hinglish me blog banane par kya hota hai or iske kya fayde hai.

Hindi ya Hinglish kis language me blog start kare ?

Agar aap blog banana chahte hai or aapki English kamjor hai to aap ye jarur sochte honge ki Hindi me blog bana lete hai, lekin jab aap blog bana lete ho to aapke mind me ye sawal jarur aata hoga ki " blog to ban gaya ab article likhe ke liye Hindi language use kiya jaye ya Hinglish "..

  • Blog ke liye best theme kaha se download kare ?

Aapke mind me jo confusion hai usay aaj hum dur karne wale hai or in the end aap samajh jaoge ki Hindi or Hinglish language me se aapko kis language ko select karna hai.

Hindi me blog banane ka matlab kya hai ?

Hindi language ki agar baat ki jaye to jis blog ke content ko Hindi language me likha jata hai usay Hindi blog kahte hai. Matlab ki क , ख , ग , घ jaise Hindi alphabets ka istemal karte huye apne blog ka article likhna.

Example – मेरा नाम रवि है और मैं हिंदी में टाइपिंग कर रहा हूँ.

Agar aap Hindi language me apna blog post likhna chahte ho to aapko bahut se aise tool milenge jiski help se aap easily hindi me typing kar sakte ho..

  • Offline Hindi me typing kaise kare ?

Hinglish me blog banane ka matlab kya hai ?

Agar aap apne blog me English alphabets ka istemal karte huye Hindi likhte ho to aapka blog Hinglish hoga. Jaise ki aap jante ho ki Hindi or English word ko milane se Hinglish hota hai waise hi agar aap koi Hindi sentance English alphabets me likhte ho to us sentence ko Hinglish kaha jayega.

Example – Mera naam Ravi hai or me Hinglish me typing kar raha hu.

Hum apne blog me Hinglish language ka use karte hai. Iski wajah aapko hamara post ke end tak mil jayegi, ki hum apne blog me Hinglish language kyu use karte hai.

Hindi ya Hinglish kis language me blog start kare ?

Ab aapko clear ho gaya hoga ki Hindi or Hinglish me kya difference hai, to chaliye ab hum aapko batate hai ki kis language me blog banana chahiye. Ye puri tarah aap par depend karta hai ki aap kis language me comfortable ho or kis language me aap apne article ko acche se likh sakte ho, agar aap Hindi language likhne me comfortable hai to aap Hindi me hi apna article likhe nahi to aap Hinglish me likh sakte ho.

Main thing ye hai ki aap apni soch ko kis language ke jariye acche se express kar sakte ho. Agar aap internet pe search karoge to aapko maximum blog Hinglish ka hi milega.

  • Impressive blog post kaise likhe ?
  • High quality article kaise likhe ?

Jyada tar log Hindi me article read karna pasand karte hai par jaise ki aap jante ho ki aaj kal social network or google ke jariye Hinglish me hi kuch type karte hai ya kuch search karte hai.

Ek baat main aapko bata du ki Search engine Hindi or Hinglish language ko ek hi samajhta hai. Chahe aapne apna blog Hindi me banaye ho ya Hinglish me dono ko hi search engine Hindi hi samjhega..

Kuch important question ?

Kya adsense Hinglish language support karta hai ?

Jaisa ki humne pehle bataye ki Hindi or Hinglish dono hi language ko search engine Hindi hi samjhta hai. Isliye agar aap apne Hinglish blog ke jariye adsense ke liye apply karna chahte ho to aap kar sakte ho. Aapke blog ka language Hindi hi hoga.

  • Adsense approval process kya hai ?

Kya Hindi SEO friendly nahi hota ?

Agar aap google par search karoge ki " SEO kya hota hai " to aapko sabhi search result Hinglish me hi mile aisa jaruri nahi hai. Aapko apne search result me Hindi ke blog bhi najar aayenge.

Hindi ya Hinglish kis language me blog start kare ?

Isme koi difference nahi hota aap chahe Hindi me search karo ya fir Hinglish me , aapko top ten search result me Hindi or Hinglish dono hi search result najay aayenge.

Lekin maximum log Hinglish type karke hi google search karte hai, or jiski wajah se Hindi me blog bahut kam ho gaye hai…. Par iska matlab ye nahi ki Hindi SEO friendly nahi hoti. Search engine hamesa apne search result me usi blog or website ko top me rakhti hai jo maximum read kiya gaya ho.

Important Tips

Kya aapko Hindi read karna aata hai ? Ye sabse main sawal hai jo aapko ye jarur bata degi ki agar aap Hindi me apna blog bana rahe ho to aapke blog par sirf wahi log ayenge jinhe Hindi read karna aata hai. Ek baat to clear hai ki Hindi language ko sabse jyada read karne wala log India me hi hai.

Ab aap socho ki kya India me sabhi ko Hindi read karna aata hai ? Jab aap ish sawal ka jawab pata karoge to aapko pata chalega ki India me bahut se aise log hai jinhe Hindi bolna to aata hai lekin wo Hindi read nahi kar sakte. Aise me agar aap Hinglish me blog banate ho to aapke blog ko wo log bhi read karenge jinhe Hindi samajh me to aati hai lekin wo Hindi language read nahi kar sakte.

  • Apne aapko blogging ke liye motivate kaise kare ?
  • Agar successful blogger banna hai to khud ko successful blogger samjho

India me bahut se aise states hai jaha logo ko Hindi read karna nahi aata , or agar aapne apna blog Hindi me banaya hai to aapke blog par aise log nahi aayenge jinhe Hindi to samajh me aati hai lekin wo Hindi read nahi kar sakte . Or yahi main wajah hai ki jab bhi koi search engine par Hindi me kuch search karta hai to usay Hinglish blog hi top search result me show hote hai.

Friends ab aap clearly samajh gaye hoge ki Hindi blog ke mukable Hinglish blog pe visitors bahut jyada aate hai, or Hinglish blog ko popular hone me jyada samay nahi lagta.

Main Point – Jaisa ki maine kaha ki India me bahut se aise log hai jinhe Hindi read karna nahi aata lekin wo Hindi samajh jate hai, or agar puri world ki baat kare to puri duniya me aapko aise kahi jyada log milenge jinhe Hindi read karna nahi aata lekin wo Hindi samajhte hai. Aise me agar aap apna blog Hinglish me banate ho to aapka blog all over world se visitors gain karega.

Conclusion

Friends aap chahe Hindi me blog banao ya fir Hinglish me dono me hi quality content agar nahi hai to aapka blog ka rank kabhi improve nahi ho sakta. Isliye aap jis bhi language me blog banao , ye baat hamesa dhyan me rakho ki aap jo bhi article publish karte ho wo quality wala ho. HAPPY BLOGGING

How To Create A Blog In Hindi Language

Source: https://www.acchibaat.com/hindi-ya-hinglish-kis-language-me-blog-start-kare/

Posted by: russotookents.blogspot.com

0 Response to "How To Create A Blog In Hindi Language"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel